Hero

About Me

Kaleem Asghar Bijnori ka ta‘alluq zila Bijnor ke ek mashhoor gaon Memon Sadaat se hai — woh zameen jahan se muhabbat-e-Ahl-e-Bait (a.s.) ki khushboo mehsoos hoti hai aur jahan azadari naslon se virasat ki tarah chalti aa rahi hai.

profile

Kaleem Asghar Bijnori ka ta‘alluq us silsila-e-kalam se hai jahan lafz sirf likhe nahi jaate, balkay mehsoos kiye jaate hain. Unki shayari muhabbat-e-Ahl-e-Bait (a.s.) aur Karbala ke la-zawal paighaam se janam leti hai, jahan dard bhi ibadat ban jata hai aur aansoo bhi daleel.

Unka kalam marsiya-e-Karbala ki rawayat ko zinda rakhta hai — kabhi noha ban kar, kabhi qaseeda, kabhi manqabat aur kabhi munfarid ashaar ki soorat mein. Yeh alfaaz sirf dil ko nahi chhoote, balkay zameer ko jaga dete hain.

Kaleem Asghar Bijnori ka likha hua kalam Hindustan hi nahi balkay sarhadon se pare bhi majalis-e-aza mein goonjta hai. Mashhoor noheykhwaan jaise Khursheed Asri aur Meesam Abbas jab in alfaaz ko apni awaaz dete hain, to kalam ek safar par nikal padta hai — dil se dil tak🌙

January 2026

SunMonTueWedThuFriSat